Friday, June 12, 2009
Kyun... Tum Nahi
Nhi aasan pyaar karna kisi ko,
Iss safar hum bhi chale they.
Yaad hai aaj bhi woh pal,
Jab pehli baar unse hum mile they.
Wo dosti naa jaane kab pyaar ban gayi,
Unki muskurahat mera sab kuch ho gayi.
Wo pyaar bhari nzaron se dekhna unhe,
aankho ke ishaare, ishaaron mey ikraar,
Ab bas unki yaaden hain rehe gyi.
Kehna har waqt yahi baar-baar,
Humen tumse aur tumhi se hai pyaar.
Aur jataana narazgi ye kehe kar,
Jao nhi karte hum tumse pyaar.
Woh berukhi na jaane kab sach ho gayi,
Kab hogye door, ye bhi pata na chala.
Dil mey aaj bhi hain sirf wahi,
Par samne nahi, hai iss baat ka gilaa.
Maana unhone dhokha na diya,
Par sath dete to kya tha.
Kyun mere khwaabon mey ab aa kar,
Dilaayen yaad, naa jo kabhi mera tha.
Un lamhom ko ab humne hai sameta,
Ankhon mey namii, labon par muskuraahat lekar,
pyaar ki raah thi tumne dikhlayi,
Tumhi ko naa paaya, apna sab kuch bhi dekar.
Subscribe to:
Posts (Atom)